Dost jo hua nhi
Phool jo khila nhi ush se hamein koi shikwa nhi,jab jagrit tha jo vo hi humse mila nhi.
Choti si kwaiyad shuru ki thi ik nye upwan ke liye,
mehkata jo isse vo baharo ka kaffila mila nhi.
Hone laga kuch ahsaas tumse hui mulakaton ke chalte ,
awr man liya tume apna jo tumne kabhi kaha nhi.
Laga sayad tumhari bhi hai koshish ishe kayam rakhna ,
dosti ke taru ki chaav ki aash me mai baitha raha ,
khangala jab dhara ko beez tak mila nhi.
Kashmkash hai yhi ik baar thik se aajma to lete,
uthne na de kisi pyod ko mera mann itna bhi banzar nhi.
Ish pahal ki doshi barsi meri ankhein ush tarah,
jaise barsa hai vo badal jo barso se barsa nhi.
Bina tumhare saath ke ullash bhara jivan hoga mera,
khandair ki tarah khandit ish mann me itna vishwas bacha nhi.
'Shridya' hu mauzud vhi tumhare lautne ki ummid lgae,
ki bikheroge beez vhi,jo bandh mutthi se tumhari utra nhi.